Welcome To MUHAMMAD ALQAMAH JAMAL Official Website www.alqamah.com PUBLIC/VISITORS Forum Corner
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Qaseeda Jab Imam Ayenge - Sibte Jaafar

Go down

Qaseeda Jab Imam Ayenge - Sibte Jaafar Empty Qaseeda Jab Imam Ayenge - Sibte Jaafar

Post  Alqamah 11th March 2008, 11:20 am

https://www.youtube.com/watch?v=093kvt1c37k


Jab Imam Ayega

Halai Gham Sunyain Gain Jab Imam Aayain Gai
Zakam-e-Dil Dikhaiyain Gain Jab Imam Aayain Gain

Mehfilain Jamayain Gain Jab Imam Aayain Gain
Bam-o-Dar Sajayain Gain Jab Imam Aayain Gain
Jashan ham manayain gai Jab Imam Aayain Gain

1) Zakahm hain abhi taza Makkah aur Medina kai
Shaam-o-Kufa Kerbobala Ham Bhula Nahi Saktai
As-Saqifa Taayai Dam Ghair sai nahi ponchain
Jitnai dukh uthayain hain ham na Kalama goyon sai
Aik aik chukahain gain Jab Imam Aayain Gain

2) Shak hai jin ko Allah kai adal aur adalat per
Mansabai Nabuwat per Syeda ki ismat per
Murtaza ki Ahmed sai muntasil niyabat per
Jin ko shak hai bara per baravai ki ghaibat per
Sab hi maar khayain gain Jab Imam Aayain Gain

3) Naam per sahaba kai kaam Kafiron jaisai
Naam per sahaba kai kaam Fasiqon jaisai
Naam per sahaba kai kaam Munkiron jaisai
Naam per sahaba kai kaam Mushrikon jaisai
Sab hi mun churayain gain Jab Imam Aayain Gain

4) Dava-e-Muhabbat jo subho shaam kertai hain
Un kai dushmano sai bhi raho rasam rakhtai hain
Khums bhi nahi daitai Gheebatain bhi kertai hain
Momino sai bhi bughzakeena rakhtai hain
Kis tera nibhayain gain Jab Imam Aayain Gain

5) Jhoot bolnai ko ham mashghala samajtai hain
Baat baat per bai-ja maslihat barastai hain
Aur munafiqat ko bhi maslihat hi kehtai hain
Lehbo laab ka samaan ham gharaon main rakhtain hain
Kis tera chupayain gain Jab Imam Aayain Gain

6) Naimatain shariyat ko boj hi samajtai hain
Lehbo laab hi ko ham zindagi samajtai hain
Sahiban-e-Zar ko bara adami samajtai hain
Tang dast momin ko bas yun hi samajtai hain
Kiya maqaam payain gain Jab Imam Aayain Gain

7) Yeh hamarai maqr-o-riya shatirana ayari
Kiya hamarai nohon salam aur yeh azadari
Kitna hai khaloos un main kis kadar riyakaari
Kiya Imam ki khatir ham nai ki hai tayari
Kaisai mun dikhayain gain Jab Imam Aayain Gain

Cool Al Ajal jo kehtai hain aagayai to kya ho ga
Kiya hai apni tayari pesh ham karain gai kiya
Sibt-e-Jafar apna to kul yehi hai sarmaya
Hamd-o-naat-o-sozo salam aur manqabat noha
Ham yehi sunayain gain Jab Imam Aayain Gain

Jab Imam Ayenge!

Alqamah
Admin

Posts : 160
Join date : 2008-02-22
Age : 39
Location : Karachi

http://www.alqamah.com

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum